Kisi nayee takleef ka takaaza
hay
Thora dard or samaitna hay
Puranay zakham kushak ho rahey
hain
Daghh bhi maand say parr rahey hain
Masstii ki rawanni bhattak si rahi
hay
Lazawaal baankanpann baychain hay
Laajawabb jobhaan anngrai ya’n laita
phirta hay
Bistaarr-e-zehan kabbhi mujhh may simatt’ta hay
Tou khabi mujjh say sirakkt’ta hay
Meri chilamann-e-fann tarappti hay
Tou khabi machaltti hay
Machal machal kerMasoom maazori say billakti hay
Magar zalim bhuujtti nahii
phir qayamat ki junbish-e-sharr ko thaam ker
Hosla-e-inteha baand ker
sharafaat ki hathhkariyo'n ko torr ker
berhanna battin ki bairyia'n pehann ker
Rahhato'n ki rah guzarr perMera Dill
jhoom jhoom kay,
ghumm ghumm chala hay,
ajeeb falsaffay hain
sangeen silsalay hain
munfareed mujasmay hain
ankareeb moajzay hain
magar wo nahi hay
jiski talab taswaro'n ko kab say thie
jiski kassakk raggo'n may azal say hay
wo aaj tazkero'n may kyo'n nahi
hay
abb uski wo kafir muskaaan
meri thakaan ban gayee hay
pehychan apni hie
Anjaan illzaam ban gai hay
Na janay kitnay safar, safar howay
hain
Kayee zikarr, idharr kay udhar howay
hainhaye
ulffat ki talabb,
talalbb hi rahii
tarass bhi tarrr na ho saki
Khbai sabbab bani tou khabi Sabbaq
Ulfatt, ulffat na howi
Zulmatt hi rahii
her dafaaMeray mann ko salwattt kerti rahi
Or abb raah jo kay nahamwar hay
baahai'n bay gudaas hain
chahatain purrisraar hain
fizza’ain pur gubbar hain
magar mera wo raishmii tasswwarr siyahii mayill na ho saka
go kay tamaam ki tamaam ranjishain rangeen hain
furqat kay sadmay bhi sangeen hain
sukhay howay kitabo’n kay phool bhi
ghumgeen hain
roothay rawaiyae meray jazbo’n kay ameen hain
May or meray tammam aysaasaatGamgeen gaamzan
hain
mera dil-e-momin jo tha khabi tera majnu-e-mohsin
na janay kiss aas may
anjaanay raaz say
mann ki pyaas ko saja ker sunheri sajdo’n say
bhula ker surmayee rishto’n ko
Ulffat ki talashh may
Himmat-e-Azzad liay
Gafflat ki nayee manzil ko chala