Moutibbir thay us shaks kay qarb say,
us say bichray tou aik daastan hogaye
Charo’n janib say you’n sang bari
howi kay apnay sab aainay kirchia’n hogaye
Ajnabiiat kay is mousam-e-sard may
hogaya yaqeenan koi haadsa
Ya tou dhundla gayee hai’n nighahai’n
teri, ya meray manazir douha’n hogaye
Sir utha ker khara ho meray samnay,
pehlay hosla dushman may aisa na tha
Kuch hateyli ki lakeerai’n nazraz hai’n,
kuch sitaray bhi na Meharbaa’n hogaye
An Gintt bouhrri Ankhain, jawan
khusbu’ain, shahed lehjhay taswarr may phirnay lagay Jab Kishti apni banwar say
ulajhnay lagi, ham shikista badan baadban hogaye
Maslo’n ki karakti dhoop may, hosla
toot ker jab bhikarnay laga
Unki awaaz thandi howa ban gayee,
unkay gaysou mera Saibaa’n hogaye
Aanay wali routtu’n aisay haalat may
kya sajao’n tumharay liay raastay
Meray mann kay saray diay Aandhio’n
may bujhay or phool nazar-e-Khiza’n hogaye
Phool Khilnay ka mousam agarchay na
tha, un say milker magar yeh zaroor howa
Meri socho'n ki bailye’n harri hogayie, or
morjha’ye howay jazbay phir say jawan hogaye
Baat hay apnay maathay ki tahreer ki,
teri aankho kay mousam ka shikwa nahi
Reh gaya hu’n may Nuqtah simattta
howa, meray dukh phail ker Aasma’n hogaye