Showing posts with label Urdu Poetry. Show all posts
Showing posts with label Urdu Poetry. Show all posts

Friday, 9 August 2013

PHOOL JAISAY KHOWAB





Phool jaisay Khowab



Daikha tha aik khowab
Howay thay jo silsalay
Bikhray thay wo rangg,  
Khilay thay jo Phool,
Oun Phoolo'n ko ja'han khilna tha,
Wo Wa'han na khill sakay
Magar wo bhikrtay Rang 
Humaray Haal pay 
Maazi ki khushbu banker
Mustaqbil say hotay gaye
Ranjisho'n ki darmianni say  
Raabtay mukhtasir hotay gaye
Oun Phoolo'n kay Khilnay say
Moamllay sang hotay gaye
Aasray tang hotay gaye 
Oun Phoolo'n kay Mehaknay say
Faaslay jo simmtay thay,
Zaabptay jo samajay thay,
Wo hum pay lazim rahey
Oun Phoolon kay Millnay say
Raastay jo Sajjay thay
Houslay jo millay thay
Wo safar may sir hotay gaye
Rang jo charay thay
Faq na hosakay
Ammar hotay gaye
Oun Phoolon kay Beheknay say
Manzillain khabi dhundlati thie
Khabie nazar aajati thie
Istarah hum bhi behaktay rahey
Behak behak ker mehaktay rahey
haseen ranggoli si hoti rahi
Wo
Phool,
Raabtay,
Raastay,
Moamlay
Zaaptay,
Houslay
Or wo daikha howa aik Khowab 
Samjhi howi haqeeqat ban gaya or
Hamari Hayat may hamay hie guzaarta gaya
Na jaanay 
Wo Khowab, Khowab tha
Ya aik Phool ?
Wo Phool, Phool tha
Ya aik Khowab ?
Wo Phool bhi shayad
Yeh hie souchtay rahey
Or hum apnay
Mah-o-Saal 
Ous haseen chamman may
Phoolo'n or Khowabo ki
Rangeen bazam may
Guzzaartay rahey
Her Shab Chaand Raat ki tarah jagtay rahey
Her Subh Eid ki tarah nikkartay rahey,
Her pal ko
Pal Pal jeetay rahey,
Her Phool ko
Aik nya Khowab samajhh ker
Daikhtey rahey 
Apnay her din ko
Phoolo’n or Khowabo kay
Rango’n May Rangtay rahey
Khud Eid banker  
Khowabo ko
Phoolo'n ki Naveed daitay rahey





Saturday, 29 June 2013

AASMAN BANA RAHEY HAIN-GHAZAL




Na aastano ko daikhay na yeh aashiano ko

yeh dillagi hay, chillaati hay Makeeno ko



Dor badlay ga is karwan-e-hasti ka bhi

charhaye rakho tanhayion ki Aasteeno ko



Jis jis nay di hay dard-e-dill ko howa,

uth uth kay die hay dua un Afreeno ko



May nahi manta, in riwajjo, in zaapton ko

doughli Insaaniat kay ajeeb Kareeno ko



Ajab kashish hay sittaro'n kay darmian hayil

juda rakhti hay appas may Aapgeeno ko



Na mill saka saroor-e-sakon is raah-e-kamil pay

kon samjhay ga na chahey howay Miskeeno ko



Hissar band rahi fizza meri khalai ateraaf may

kushaadgi ki zaroorat paray gi kuch Seeno ko



Tumahri aas, tumahri yaad may ghayil hun kab say

galay lagao ya aag in dagmagatay Safeeno ko



Jo Rahh-e-Ishq may hassti say bay niaz howay

salam kertay hain hum un dilbar Hasseeno ko



MAY WAQAYA NAHI TAREEKH KA TASSALUL HUN

SAMJH SAKO TOU SAMJH JAO HUM ALEEMO KO

Or


TUM AASSMAN SAY LAYE TOU KYA KAMAL KYA 
HUM ASSMAN BANAY RAHEY HAIN, IN ZAMEENO KO



Monday, 24 June 2013

TUMHAY KUCH YAAD HAY BHALA


Tumhay kuch yaad hay bhala, 
Tum nay boht pehlay,
Apni tarr aankho'n say meray chehray per, 
Aik phool sadabhahar sa banaya tha,
Wo phool purbhahar hie raha ,
Or meri nazzmo’n may lehakta gaya.
Wo phool aaj bhi meray baatin ko,
Zair kiay howay hay,
Tumhay hersu mujh may,
Payesh kiay howay hay.
Wo phool tum banker aksar,
Dill ki anjuman may mujh say milta hay,
Bilkul wesay hie mujh may simmat’ta hay,
Tumhay yaad ho kay na yaad ho,
Wo phool  jo bina rangay, 
Tumharay rango’n may rangtta tha,
Wo phool gaye dinno ki khusbu ki tarah,
Meray dill-e-haal pay aaj bhi mehakta hay.
Wo phool , phool hie raha.
Na anjaam howa, na toofan bana,
Dhool ka dhool hie raha,
Wo phool ab bhi shab-o-rooz kisi bhahnay,
Na janay kittnay aastanay,
Bhattak chukka hay,
Shaam-o-saweray khillta hay,
Yaado’n ko sajjata hay,
Kuch batto’n ko dohrata hay,
boht sou'n ko behlaata hay.
May khusbu say uski rajjta hun,
rajj rajj kay orr'on may bassta hun.
Na-janay mujhay yeh kyo'n lagta hay,
Tum aaj bhi apnay hasseen khayalo'n say, 
Rangeen khowabon may,
Uus phool ko phool banatay ho.
Meray chehray ki saato'n ko,
Mazeed Saanwartay ho.
Ussay tum aaj bhi panapptay ho,
Na janay kyon tum aisa kertay ho,
Khuda’ara, tum aaker wo phool mitta ja jao,
Mujhay mazeed bhataknay say bacha jao,
Ya thora tou ussay dhundla jao,
Apni raanayiaya'n lay jao,
Meri tanhayia'n day jao.................
Meray chehray ko wapis Mera ker jao.














Tuesday, 5 February 2013

Rah gaya hun may..........






Moutibbir thay us shaks kay qarb say, us say bichray tou aik daastan hogaye
Charo’n janib say you’n sang bari howi kay apnay sab aainay kirchia’n hogaye

Ajnabiiat kay is mousam-e-sard may hogaya yaqeenan koi haadsa
Ya tou dhundla gayee hai’n nighahai’n teri, ya meray manazir douha’n hogaye

Sir utha ker khara ho meray samnay, pehlay hosla dushman may aisa na tha
Kuch hateyli ki lakeerai’n nazraz hai’n, kuch sitaray bhi na Meharbaa’n hogaye

An Gintt bouhrri Ankhain, jawan khusbu’ain, shahed lehjhay taswarr may phirnay lagay Jab Kishti apni banwar say ulajhnay lagi, ham shikista badan baadban hogaye

Maslo’n ki karakti dhoop may, hosla toot ker jab bhikarnay laga
Unki awaaz thandi howa ban gayee, unkay gaysou mera Saibaa’n hogaye

Aanay wali routtu’n aisay haalat may kya sajao’n tumharay liay raastay
Meray mann kay saray diay Aandhio’n may bujhay or phool nazar-e-Khiza’n hogaye

Phool Khilnay ka mousam agarchay na tha, un say milker magar yeh zaroor howa
Meri socho'n ki bailye’n harri hogayie, or morjha’ye howay jazbay phir say jawan hogaye

Baat hay apnay maathay ki tahreer ki, teri aankho kay mousam ka shikwa nahi
Reh gaya hu’n may Nuqtah simattta howa, meray dukh phail ker Aasma’n hogaye

Wednesday, 25 July 2012

Ghaflat ki Nayee Manzill ko Chala-Nazam




Kisi nayee takleef ka takaaza hay

Thora dard  or samaitna hay

Puranay zakham kushak ho rahey hain

Daghh bhi maand  say parr rahey hain

Masstii ki rawanni bhattak si rahi hay

Lazawaal baankanpann baychain hay

Laajawabb jobhaan  anngrai ya’n laita phirta  hay

Bistaarr-e-zehan kabbhi mujhh may simatt’ta hay

Tou khabi mujjh say sirakkt’ta hay

Meri chilamann-e-fann tarappti hay

Tou khabi machaltti hay

Machal machal kerMasoom maazori say billakti hay

Magar zalim bhuujtti nahii

phir qayamat ki junbish-e-sharr ko thaam ker

Hosla-e-inteha baand ker
sharafaat ki hathhkariyo'n ko torr ker

 berhanna battin ki bairyia'n pehann ker

Rahhato'n ki rah guzarr perMera Dill
 jhoom jhoom kay,
ghumm ghumm chala hay,

ajeeb falsaffay hain 

sangeen silsalay hain

munfareed mujasmay hain

ankareeb moajzay hain

magar wo nahi hay

jiski talab taswaro'n ko kab say thie

jiski kassakk raggo'n may azal say hay

wo aaj tazkero'n may kyo'n nahi hay

abb uski wo kafir muskaaan
meri thakaan ban gayee hay

pehychan  apni  hie

 Anjaan illzaam ban gai hay

Na janay kitnay safar, safar howay hain

Kayee zikarr, idharr kay udhar howay hainhaye

 ulffat ki talabb,

talalbb hi rahii

tarass bhi tarrr na ho saki

 Khbai sabbab bani tou khabi Sabbaq

Ulfatt, ulffat na howi 

Zulmatt hi rahii

her dafaaMeray mann ko salwattt kerti rahi

Or abb raah jo kay nahamwar hay 

baahai'n bay gudaas hain 

chahatain purrisraar hain

fizza’ain pur  gubbar hain

magar mera wo raishmii tasswwarr siyahii mayill na ho saka

go kay tamaam ki tamaam ranjishain rangeen hain 

furqat kay sadmay bhi sangeen hain

sukhay howay kitabo’n kay phool bhi ghumgeen hain

roothay rawaiyae meray jazbo’n kay  ameen hain

May or meray tammam aysaasaatGamgeen gaamzan hain

mera dil-e-momin jo tha khabi tera majnu-e-mohsin

na janay kiss aas may

anjaanay raaz say

mann ki pyaas ko saja ker  sunheri sajdo’n say

bhula ker surmayee rishto’n ko

Ulffat ki talashh may

Himmat-e-Azzad liay

Gafflat ki nayee manzil ko chala












































































Saturday, 7 July 2012

JAAN MAY NAY APNI DI-GHAZAL

JAAN MAY NAY APNI  DI


This is something very dear to my heart which I wrote long time ago and I visit this ghazal every year and refine it or add one or two shair two in it. This is by far one my own personal favourite and intense poem. This poem is a true reflection of my life, experiences and what not. I had wanted to share this ghazal over the blog but not sure what I was waiting for, today I decided I should post it maybe because of the date, as 7th july has several significant elements in my life. I shall be improving and ading shairs to this ghazal as I go on in my life. I hope you guys enjoy it.
Thanks for visiting this blog.


Sab kuch lutt gaya, jo likha tha mitt gaya, mitt ker sematt gaya,

Apni kis kis aas ko, na honay wali umeed-e-Imkaan, may nay apni di



Na janay kitnay sittam sahey, ruswayea’n wasuli’n, zamanay ki

Us kay bawajood, unkay nazuk rishtay ko, Jigar ki Maan, may nay apni di



Janay dou, matt cherro, meray junoon-e-ishq ki jalwagari

Ruhh ko barhanna kerkay, unkay kirdaar ko Daastan, may nay apni di



Zakham koi ek hota tou chupatay, dagh mittatay, apnay dard bant’tay

Diljoi, kesi, kesi raqabata'in, haye Azmat-e-Aali Shaan bhi, may nay apni di



Wo jo sirraknay say bi qasir thay, aaj mujh say hie bhagtay phirtay hei’n

May jo fan-e-parwaz ka aalim tha, unko qou’at-e-Urraan, may nay apni di



Teri khudai may koi saybaa’n naa milla, koi darr-e-Sakoon na khul saka

baykhudi may her ek ghar pay sadda Meharbaan, may nay apni di



Bara naaz hay unhay apni ranayiou’n or apni ittrati zulfo'n pay

Kis ko kya maalum, yeh bhi himmat-e-Jawan, may nay apni di



Kehnay ko bazaar bharay thay mashi’haho’n ki tableegho’n say

Beupaar mera tha, magar neelami kay liay, Dukaan, may nay apni di



Kon dubba, kon barbad howa, kis ko kya farak para, bas itna jaan lou

Unki Kisthti samandar paar howi, jinko Badbaan, may nay apni di



Koi bhi faraeb na chala, wo makkar Mohsin bhi thak kay chuur howay

Afsos yeah hay kay un darindo’n ko Thaakan bhi, may nay apni di



Aray khaha’n ki masoomiat or kessa hay yea musalman hona

Insaan hi nahi darmia’n, zarf ko asmat-e-Imaan, may nay apni di



Wafa ko jaan ker qibla-e-sadaqat, mohbaat ki namaz sab nay phari

Jab kaleja phaar ker, girebaan may Jhank ker, pyar ki Azaan, may nay apni di



Or ab is say bhi ziyada kya hogi wafadari ki inteha naveed

Sitam-e-Zehar ka pyala unho nay pya, or Jaan, may nay apni di.




Sunday, 24 June 2012

Tribute to Mustufa Zaidi



 

KOI HAM NAFS NAHI HAY

 
 
koi ham-nafas nahii.n hai koi raazadaa nahii hai
faqat ik dil thaa apanaa so vo meharabaa nahii hai

kisii aur Gam me.n itanii Khalish-e-nihaa nahii hai
Gam-e-dil meraa rafiiqo Gam-e-raayegaa nahii hai 


 merii ruuh kii haqiiqat mere aa.Nsuo.n se puuchho
meraa majalisii tabassum meraa tarjumaa nahii hai

kisii aankh ko sadaa do kisii zulf ko pukaaro
barii dhuup par rahii hai koi saayebaa nahii hai

inhii pattharo pey chal kar agar aa sako to aao
mere ghar ke raastey may koi kahakashaa nahii hai
                                                                    Masterpiece by Mustufa Zaidi