Sunday, 20 May 2012

Malaal

Jo Likhay howay thay kitaab may nai rut kay haal bikhar gaye
Meray ungali rakhnay ki dair thie kay huruf-e-faal bikhar gaye


Na bacha khiza’on kay jabar say meray shayher ka koi fard bhi
Yeha’n meri sans ulajh gai waha’n oss kay baal bikhar gaye


Meray waqt ki sabhi doria’n uskay tewaro’n say bandhi rahi
Khabie ek lamha th’her gaya, khabie maah-o-saal bikhar gaye


May gaye dinno ki kitaab tha, kisi say pharha tou na jasaka
Yeh zaror howa, nigha kay lims say meray khad-o-khal bikhar gaye


Sabhi mosamo may gulaab ban’ker khilay rahey uskay naqash paa
Khabie meray dil may mahak uthay, khabie daal daal bikhar gaye


Uska wo nazuk hinna’i haath meray shaanay say jo uth gaya
Meray mann ki shakhay tann say toot gayi, meray kamal bikhar gaye


Wo nashilee baaz zameen ki, baharo ki dilkash sie naveed thie
Dam-e-Subh khirkia’n kholtay hi meray tamam Malal bikhar gaye.