JAAN MAY NAY APNI DI
Apni kis kis aas ko, na honay wali
umeed-e-Imkaan, may nay apni di
Na janay kitnay sittam sahey,
ruswayea’n wasuli’n, zamanay ki
Us kay bawajood, unkay nazuk rishtay
ko, Jigar ki Maan, may nay apni di
Janay dou, matt cherro, meray
junoon-e-ishq ki jalwagari
Ruhh ko barhanna kerkay, unkay
kirdaar ko Daastan, may nay apni di
Zakham koi ek hota tou chupatay,
dagh mittatay, apnay dard bant’tay
Diljoi, kesi, kesi raqabata'in, haye
Azmat-e-Aali Shaan bhi, may nay apni di
Wo jo sirraknay say bi qasir thay,
aaj mujh say hie bhagtay phirtay hei’n
May jo fan-e-parwaz ka aalim tha,
unko qou’at-e-Urraan, may nay apni di
Teri khudai may koi saybaa’n naa
milla, koi darr-e-Sakoon na khul saka
baykhudi may her ek ghar pay sadda
Meharbaan, may nay apni di
Bara naaz hay unhay apni ranayiou’n
or apni ittrati zulfo'n pay
Kis ko kya maalum, yeh bhi
himmat-e-Jawan, may nay apni di
Kehnay ko bazaar bharay thay
mashi’haho’n ki tableegho’n say
Beupaar mera tha, magar neelami kay
liay, Dukaan, may nay apni di
Kon dubba, kon barbad howa, kis ko
kya farak para, bas itna jaan lou
Unki Kisthti samandar paar howi,
jinko Badbaan, may nay apni di
Koi bhi faraeb na chala, wo makkar
Mohsin bhi thak kay chuur howay
Afsos yeah hay kay un darindo’n ko
Thaakan bhi, may nay apni di
Aray khaha’n ki masoomiat or kessa
hay yea musalman hona
Insaan hi nahi darmia’n, zarf ko
asmat-e-Imaan, may nay apni di
Wafa ko jaan ker qibla-e-sadaqat,
mohbaat ki namaz sab nay phari
Jab kaleja phaar ker, girebaan may
Jhank ker, pyar ki Azaan, may nay apni di
Or ab is say bhi ziyada kya hogi
wafadari ki inteha naveed
Sitam-e-Zehar ka pyala unho nay pya,
or Jaan, may nay apni di.