Friday, 1 June 2012

Munjamind (Yadain Part-4)



Tarassti Nighaho’n ki zubani
Barasti saddao’n ki mannind
Bhatakti bhaho may
Tarapti ah’ho’n may
Jewan kay anjaan reh guzaro say
Tumharay khayalo’n may gum
Yado’n kay saharay
Meri subha’yn muskati hei’n
Meri sham’yn shermati hei’n
Tumhari yada’in hamay ghabarati hei’n
Abb bhi ajab dhang may satatati hei’n
Tumharay bin aye
Aaj bhi may
Fizao’n say un Sarkash addao’n ka
Ahwaal tumhara suntta hu’n
Or Apna sonnata hu’n
Sochta hun,
Yea aasmaan yea soraj,
Yea chana,yea sitaray
Kitnay khush naseeb hei’n saray
Jo tumhay jab chahay
Dekh saktay hei’n
Bina millay, mill saktay hei’n
Jab din ki chilmilati  kirnay tumhay chuu’ti hongi
Chou ker chumti hongi
Jab raat kay andheray
Apni siyahai say
tumhay rangtay hongay
Tumhary anng anng khiltay hongay
Meray Namkeen honto ki lims
Tumharay taskeen labo ki nami
Rajjti hogi
Magar khayalo may sirf
Yea yada’in basti hei’n
Khabie meray opper hi hansti hei’n.
Tumhari wo simatti howi muskarhatay
Hamari nakaam mohbbat ki hekayatay
Tumharay Husn o Jamal ki raanaiyea’n
Wo andaz wo naadania
Meray ayteraaf may
Sabhato ka hissar baandti hei’n
May is haseen imtezaaj may
Mahew hokar,
Munjmind saa hojata hu’n
Na hi mujhay fikar hoti hay kay tumhay jana hoga
Na hi tumhay justujo hoti hay kay mujhay aana hoga
Na koi intezaar, naa koi beqarari
Na is baat ka ahsaas kay tum koi zidd kerogi
Jagtay howay sota hu’n
Sotay howay jagta hu’n
May in khayalo ko, un yado’n say
Apnay khowabo may tameer kerta hu’n
Tamer kerkay in ki tabeer kerta ho’n
Hamary is khwabi millap ki
Koi myaad muqarar nahi
Umeed ya waday ki koi
Justajo moyesar nahi
Sirf khayal o khowab or thori si haseen yada’in
Tum may banker or may tum banker
Rah jatay he’in
Haye yeh kismat ki meharbania’n
Laazwaal khaniya’n

Aaj
May sub kuch kho ker bhi
Boht kuch tou pa’ay howa hu’n
Na janay khabie tum nay bhi
Meri yadoo say apnay khayalo may
Koi khowab bunna hay kay nahi
Apnay aetraf may hissar banda hay kay nahi
Fizaa’o say mera ahwaal jana hay kay nahi
Tarassti Nighaho’n say
Barasti saddao’n say
Bhatakti bhaho’n may
Mujhay sumoya hay kay nahi
Shayad nahi.
Kher maynay socha hay abkay barsat may
May apnay in khayalo ko
Tumari azeem yado’n ko
Safaid kagaz pay likho’nga
Uski kashti banao’nga
Phir barsaat may us ko bahaaaoo’nga
Apnay is raaz ko
Tum per faash ker’dunga
Or tum bhi meri tarah ban jao gi
Sakin hokar
Meri yado’n may Munjamind ho jao gi




Note: this is so far last poem of "yadain series" which I started in 1991 (first one), than came the 2nd one in 1992, it took almost a decade to write the 3rd one back in 2008 and this one was written 2011. though, in the meantime I had written so many other poems which I shall be sharing peridically.