Thursday, 31 May 2012

Jab Zikar Tumhara Lata hu’n ( Yadain Part 3 )

Tassawaro’n kay tassalsul, tarastay hei’n
Ham aaj bhi,
Apni tanhaiyo’n kay taki’ay say 
jee apna lippate’tay hei’n
Khowabo’n kay jazero’n may
Aaho’n kay bha’nwar bantay hie’n
Hum unmay phanstay hei’n
Baho’n kay jabbino may
Jab ham ghirtay he’in
Hamaray teywar hajeeb si
Masti may jhoomtay hei’n
Tum bhi ajeeb dhang may satatay thay
Mujhay bhul jatay thay
Aaj may khud ko sattata hu’n
Jab zikar tumhara lata hun
Khud hi, apnay aap ko bhul ker
Tassaworo’n say tasveer tumhari banata hu’n
An’chahi chahat ki chashni say
Apnay dil ko behlata hu’n
Maloom nahi kay tumhay bhi may khabie
Takia banker hi sahi
Yaad aata hu’n kay nahi?
Deep tou jaltay hein jaltay hi rahey gay
Dil bhi jalta hay, jalta hi rahey ga
Jazbay machaltay hein
Mehfilay sajhti hei’n
Tanhayeah bhatakti hein
Ahbab simattay hei’n
Magar meri jaan
Tumhari kambakht Yadai’n
Aaj bhi Jawan hie’n,
kamsin hei’n
Bharai’n bhi aati hein
Barsaat bhi barasti hay
Magar shayad
Ruhtnay or manany ka mosam khabi na aye ga
Tumhay, mujhay or sattanay ka dorr khabie naa aye ga
Dharkannay sunnay, yah sunnanay abb kon aye ga
Or may you’nhi nazmay likhta reh jao’nga
Tumhari yaado’n say lipp’ta,
Larr’ta, bhir’ta, billak’ta.
Khabi apnay andar simmat’ta
Ya tumharay andar bikhar’ta
Taparpta,
Rahh jao’n ga