Friday 9 August 2013

PHOOL JAISAY KHOWAB





Phool jaisay Khowab



Daikha tha aik khowab
Howay thay jo silsalay
Bikhray thay wo rangg,  
Khilay thay jo Phool,
Oun Phoolo'n ko ja'han khilna tha,
Wo Wa'han na khill sakay
Magar wo bhikrtay Rang 
Humaray Haal pay 
Maazi ki khushbu banker
Mustaqbil say hotay gaye
Ranjisho'n ki darmianni say  
Raabtay mukhtasir hotay gaye
Oun Phoolo'n kay Khilnay say
Moamllay sang hotay gaye
Aasray tang hotay gaye 
Oun Phoolo'n kay Mehaknay say
Faaslay jo simmtay thay,
Zaabptay jo samajay thay,
Wo hum pay lazim rahey
Oun Phoolon kay Millnay say
Raastay jo Sajjay thay
Houslay jo millay thay
Wo safar may sir hotay gaye
Rang jo charay thay
Faq na hosakay
Ammar hotay gaye
Oun Phoolon kay Beheknay say
Manzillain khabi dhundlati thie
Khabie nazar aajati thie
Istarah hum bhi behaktay rahey
Behak behak ker mehaktay rahey
haseen ranggoli si hoti rahi
Wo
Phool,
Raabtay,
Raastay,
Moamlay
Zaaptay,
Houslay
Or wo daikha howa aik Khowab 
Samjhi howi haqeeqat ban gaya or
Hamari Hayat may hamay hie guzaarta gaya
Na jaanay 
Wo Khowab, Khowab tha
Ya aik Phool ?
Wo Phool, Phool tha
Ya aik Khowab ?
Wo Phool bhi shayad
Yeh hie souchtay rahey
Or hum apnay
Mah-o-Saal 
Ous haseen chamman may
Phoolo'n or Khowabo ki
Rangeen bazam may
Guzzaartay rahey
Her Shab Chaand Raat ki tarah jagtay rahey
Her Subh Eid ki tarah nikkartay rahey,
Her pal ko
Pal Pal jeetay rahey,
Her Phool ko
Aik nya Khowab samajhh ker
Daikhtey rahey 
Apnay her din ko
Phoolo’n or Khowabo kay
Rango’n May Rangtay rahey
Khud Eid banker  
Khowabo ko
Phoolo'n ki Naveed daitay rahey