Tuesday 5 February 2013

Rah gaya hun may..........






Moutibbir thay us shaks kay qarb say, us say bichray tou aik daastan hogaye
Charo’n janib say you’n sang bari howi kay apnay sab aainay kirchia’n hogaye

Ajnabiiat kay is mousam-e-sard may hogaya yaqeenan koi haadsa
Ya tou dhundla gayee hai’n nighahai’n teri, ya meray manazir douha’n hogaye

Sir utha ker khara ho meray samnay, pehlay hosla dushman may aisa na tha
Kuch hateyli ki lakeerai’n nazraz hai’n, kuch sitaray bhi na Meharbaa’n hogaye

An Gintt bouhrri Ankhain, jawan khusbu’ain, shahed lehjhay taswarr may phirnay lagay Jab Kishti apni banwar say ulajhnay lagi, ham shikista badan baadban hogaye

Maslo’n ki karakti dhoop may, hosla toot ker jab bhikarnay laga
Unki awaaz thandi howa ban gayee, unkay gaysou mera Saibaa’n hogaye

Aanay wali routtu’n aisay haalat may kya sajao’n tumharay liay raastay
Meray mann kay saray diay Aandhio’n may bujhay or phool nazar-e-Khiza’n hogaye

Phool Khilnay ka mousam agarchay na tha, un say milker magar yeh zaroor howa
Meri socho'n ki bailye’n harri hogayie, or morjha’ye howay jazbay phir say jawan hogaye

Baat hay apnay maathay ki tahreer ki, teri aankho kay mousam ka shikwa nahi
Reh gaya hu’n may Nuqtah simattta howa, meray dukh phail ker Aasma’n hogaye