Na zamana fatah naa koi sanam kadaa,
ek tera hii aasra hay,
wo jo may chupaye betha hu’n,
baqi tamam umeedo’n kay diay bujhaye behtha hu’n
shayad khahi'n,
shayad khahi'n,
yeah kushnaseeb aasra bhi...
koi waqaia na ban jaye,
koi waqaia na ban jaye,
waqaia jo sunaya na jasakay,
na socha jasakay……
na socha jasakay……
khahi’n tou phir say
badli ki tarha chaand may na chup jaye
badli ki tarha chaand may na chup jaye
Or may hamesha ki tarah akela,
tanha muntazir,
apnay hi mahwar kay andar munjmind ho jao'n...
tanha muntazir,
apnay hi mahwar kay andar munjmind ho jao'n...
ab yeah aasra meri zindagi ka faqat sahara hay,
yeah mujhay boht pyara hay,
najanay kab un tilsimi,
nigha'hu’n ka,
sharmati baho'n ka,
bebak adao'n ka .....
meray mann ki fazao'n say,
rabta hoga,
najanay mulakato'n ka mosum,
aye ga,
kay nahi,
najanay rothnay or mananay ka,
koi tasalsul chalay ka kay nahi,
teray naa honay ka gham ek taraf
magar teri mojudgi ka ahsass tou jawan hay...
magar teri mojudgi ka ahsass tou jawan hay...
yeh aasra itna shadeed hay,
yeh hi mera yaqeen hay,
tou ek din zaror aye ga,
meray ahsass ko chernay sahi,
meray aiteraf ko badalnay shayed,
maray aasray ko parakhnay shayed,
meray pyar ko chumnay,
jo maynay sadio’n say apnay labo per sajaya howa hay,
apni nam ankho’n may samaya howa hay
jism kay her hissay may chupaya howa hay.
jism kay her hissay may chupaya howa hay.
ab kay saal barsat may,
hamesha ki tarha
may sondhi mati ki kushbu banker,
may sondhi mati ki kushbu banker,
teray na honay ka gham manao'ga,
dukho’n ki kushbo phelao’n ga,
apni tanhaiya’n sajao’n ga,
log khushia bunntay hei’n,
may apnay aasray say sahi,
teri yado’n ko yaad aao’nga ,
ek masoom aasra hi tou hay...
jo mera sahara hay,
or wesay bhi, na janay may nay,
kya kya simbhal kay is aasray ki arr may rakha howa hay,
tera bankpan,
teri allhar jawani,
hamari namukamal khahani,
sab kuch hi tou hay,
itna kuch bhi simbhalna,
meri azmat ka hosla hay
teri mohabbat ka sarroor hay,
teri mohabbat ka sarroor hay,
tujhay kya maloom,
meray zameer ka zarf,
sabar ka paimona,
dil ka aalam,
or meray aasray ka zapth.....
haye’yeh mera haseen aasra,
jis say hay dayem meri jaan or qayam hay…………