Friday 6 April 2012

Faqt Aitebar-English

Na Janay phir Koi sitam moyessir ho kay na ho
Phir say woh nazar-e-karam ho kay na ho.
Kisi ki an dekhi  ra’anayio’n say aankhai’n pur nur hai’n,
Dil bhi zara sa majbur hay
Hawas har dam ba’khud.
Jawaz mushtayel.
Faryad moujood.
Is say phelay koi nya gham ejaad ho,
Ya koi nai yaad phir say aabad ho.
Kisi ko kisi kay sakon-e-qalb pay aiteraz ho,
Wafa kay naam pay anaa neelam ho,
Ya phir bewafai  aam ho,
Roh’haniyat bhi beydar ho.
Insaaniat ki maddbheer may,
Jasbaat -e-ghambeer say,
Zara si diljoyi sahi,
Thori si behwafai sahi.
Dastak-e-ishq hay, yah intehay-e-shouq
Jesay mosam-e-bhar ki subh jam, jam, aati hay.
Baray fakhar say meray mathay pay shikan bankar
itrati hay.
Meray takhleeq-e- tasawwuf ko
Bari betakalufi say jagati hay.
Rato’n ko bhi apnay sehr ki sozish say
Meray armano ko sulati hay
Dinno ko aienna banker, meray shikista jism ko,
Jagmagati hay.
Meri hasrato’n ki shamo’n ko khowa-makhowahi,
gudgudati hay.
Dillo’n ki dharkanay tezz say tezz ter ho rahi hei’n
Sham gheri  honay ko hay
Kha’hee’n phir say koi sitam na honay ko  ho.
woh nobad phir aye,
Phir koi naya khumaar azmaaya jaye.
Ya koi yarr apnaya jaye.
Apnay haal ko maazi bannay say rok lai’n.
Is sawal ko haawi honay say tok dai’n.
Is khowab ko khayal rehnay dai’n.
Rangeen hawa’on ka rukh morr dai’n.
Bhahar ko ek mosam ki hadd tak chorr dai’n.
Dharkan’no ko simbhal lai’n.
Haseen kashmakash say apnay aap ko nikal lai’n.
Rato’n ko raat or dinno ko din samaj lai’n.
Maazi tou guzar hi gaya hay.
Haal ko bhala kon thaam saka hay.
Mustaqbil tou ek taweel dorr hay.
Ya phir hamay th’her jana cha’yeh.
Or thora sa be’hak jana cha’yeh.
Anjaan rasto’n pay,
Jaan booj ker bhatak jana cha’yeah.
Shash o panj, panjh o sash ban rahay h’ain.
Khahee’n dur say phir wohi sada aati hay,
Raato’n ko jagati hay.
Din ko satati hay.
Haye mosam-e-bhahar,
Meray lafzo pay yeah haseen nikhaar,
Ailaan-e-Baggawat,
Himaakat ya sadaqat,
Yeah hi hay shayad, taqaza-e-sharafat.
Meray dil nashee’n, meray dilbar,
Phir wohi mosam-e-bhahar,
Shayad, abkay akhri baar,
Na koi jeet na koi haar,
Khumar hi khumar.
Umeed -e-Pyar
Or
Faqt Aitebar